« Latest by khaleel on May 25, 2014, 08:17:54 PM »
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Allahumma Salle 'ala Syedina Muhammadin Wa 'ala Aalihi Syedina Muhammadin Wa Barik Wa Sallim
Aye Khatam e Rusul, Kaba e Maqsood tu hee Dar surat e har chay hast maujood tuhi. Aayat e kamal e haq ayan nastbato Azaat kay darpardah nihaan bood tuhi. Suhani raat thi Aur pur’sukoon zamana tha, Asar mein dooba hua jazb e aashiqana tha Unhein to arsh main mehboob ko bulana tha, hawas thi deed key mairaj ka bahana tha. Sarela makan se talab hui, Sue e muntaha woh chale Nabi. Yeh kamal e husn ka mojza, Ke firaaq o haq bhi na seh saka. Sir e la makan se talab huwi Sue e muntaha woh chalay Nabi. Shab e Mairaj liya arsh e bareen per bulwaye Sadma e hijr Khuda say bhi gawara na huwa. Sir e la’makaan se talab howi Su e muntaha wo chalay Nabi. Koi had hai unkay urooj key, balaghal ula be kamalehi Sir e la’makaan se talab huyee, koi had hai unke urooj ki. Khair ul Wara, Sadr ud Duqa, Najm ul Huda, Noor ul Ula Shams ud Duha, Badr ud Duja, Ya’ani Mohammad Mustafa. Koye had hei unkay uroj key Khair ul vara, sader ud Duka, Najm ul Huda, Noor ul Ula Shams ud Duha, Bader ud Duja, Yani Muhammad mustufa. Aaqa rawa salare deen, Ya Rehmat Al Lil Aala Meen Aa muqtuda e mursaleen, aa peshwa e ambiya Jannat nishan e qoouet to, wash shams eeman ro e to Wallail wasf e loe to, khubi ye ruyat badduha Is mein to is mein aazmi, jis main to jaan e alami Zaat e to fakhr e aadmi, shaan e to shaan e kibriya. Koi had hai unke urooj ki Jo gaya hai farsh say arsh tak, woh burak to lay gaya bedharak Tabaqay zameen waraq e falaq, gaye neeche paaon say pursarak Latein zulf key jo gayi latak, to jahan sara gaya mehak Hoye must bulbulay is qadar, to yeh ghunche bole chatak chatak. Koi had hai unke urooj ki Gaye ghar say charh kay burraq per Shab e wasl rukh say howi sahar Yeh safar tha khoob se khoobtar Yeh he tha her ik ki zaban per. koi had hai unke urooj ki koi had hai unke urooj ki, balaghal ula be kamalehi Yeh hi ibtida yeh hee intiha, yeh farogh jalwa e haq numa Ke jahaan sara chamak utha, kasha fad duja bejamalehi Rukh e mustafa ki yeh roshni, yeh tajallion ki hama hami ke her ik cheez chamak uthi, Kasha’fad dujaa bijamaalihi Kay har eik cheiz chamak uthi Kasha fad dujaa bijamaalihi Na falak, na chand tare, na saher, na raat hoti Na tera jamal hota, na yeh kainaat hoti. Ke her ik cheez chamak uthi Kasha fad dujaa bijamaalihi Woh sarapa rehmat e kibriya, ke her ik pay jis ka karam howa. Aaa Yeh Quran e paak hai barmala, hasonat jamiyo khisalehi Yeh kamal e haq e muhammadi, key her ik pe chashm e karam rahi Sir e hashar nara e ummati, Hasunat jami’u khisaalihi. Wohi haqnigar wohi haqnuma, rukh e mustafa hai wo aaina Ke Khuda e Paak nay khud kaha, Sallu ‘aleyhi wa aalihi Mera deen ambar e warsi, baKhuda hai ishq e mohammadi. Aaa Mera zikr o fikr hai bus yehi, sallu ‘aleyhi wa aalihi. sallu ‘alaihi wa alihi Che kunam bayane kamaleo, balaghal ula be kamalehi Che farogh karda jamaleho, Kasha fad dujaa bijamaalihi mun hairatamza khisaleho, Hasunat jami’u khisaalihi dil o jaan e maba khayaleho, Sallu ‘aleyhi wa aalihi. sallu ‘alaihi wa alihi Aie mazhar e noor e Khuda, balaghal ula be kamalehi Maula Ali mushkil kusha, Kasha faduja bijamaalihi Hasnain jaan e fatima, Hasunat jami’u khisaalihi Yani Mohammad Mustafa, Sallu ‘aleyhi wa aalihi sallu ‘alaihi wa alihi
Kalam Written by : Hazrat Hakim Mirza Madani Recited By: Sabri Brothers ( Mohtaram Ghulam Farid Sabri Saheb and Maqbool Ahmed Sabri Saheb Noor Allahu Marqadahu )